rag rag meñ merī phail gayā hai ye kaisā zahr
kyuuñ Dūbne lagā hai dhuñdlakoñ meñ saarā shahr
mujh ko jhiñjhoḌ detī haiñ lamhoñ kī āhaTeñ
uThtī hai mere jism meñ ik bebasī kī lahr
ye shab mire vajūd pe yuuñ TuuT paḌtī hai
jaise koī balā ho ki aaseb ho ki qahr
phūTā na muddatoñ se koī chashma-e-umīd
sūkhī paḌī huī hai mirī ḳhvāhishoñ kī nahr
chehre pe vaqt kī maiñ siyāhī malā karūñ
mujh ko bhī kuchh milā hai mashiyyat se kār-e-dahr