Shahid Mahuli

shahar KHamosh hai sab neza-o-KHanjar chup hain

Shahid Mahuli

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1943
shahar ḳhāmosh hai sab neza-o-ḳhanjar chup haiñ
kaisī uftād paḌī hai ki sitamgar chup haiñ
ḳhuuñ kā sailāb thā jo sar se abhī guzrā hai
bām-o-dar ab bhī sisakte haiñ magar ghar chup haiñ
chār-sū dasht meñ phailā hai udāsī kā dhuāñ
phuul sahme haiñ havā Thahrī hai manzar chup haiñ
mutma.in koī nahīñ nāma-e-a.amāl se aaj
muskurātā hai ḳhudā saare payambar chup haiñ
lauT ke aatī nahīñ ab to sadā-e-gumbad
chup haiñ sab dair-o-haram masnad-o-mimbar chup haiñ
maiñ jo ḳhāmosh thā ik shor thā har mahfil meñ
merī goyā.ī par ab saare suḳhnavar chup haiñ
Top Urdushayar.com