Shahid Mahuli

baam-o-dar TuT gae bah gaya pani kitna

Shahid Mahuli

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1943
bām-o-dar TuuT ga.e bah gayā paanī kitnā
aur barbād karegī ye javānī kitnā
rañg kumhlā diyā bāloñ meñ piro dī chāñdī
tuul khīñchegī abhī aur kahānī kitnā
ye talātum ye anā ābla-pā.ī ye junūñ
ham bhī dekheñge ki hai josh-e-javānī kitnā
darmiyāñ aa gayā ib.hām kā ik koh garāñ
DhūñDte rah ga.e ham dasht-e-ma.ānī kitnā
barf kī tarah jame jaate haiñ saare alfāz
kaam aa.egī yahāñ sehr-bayānī kitnā
Duub kar sāñsoñ meñ rag rag meñ samā kar dekho
mas.ala dil kā sulajhtā hai zabānī kitnā
baḌhtā jā.egā ye sailāb-e-havādis 'shāhid'
rok pā.egā koī zor-e-ravānī kitnā
Top Urdushayar.com