Shahid Mahuli

har marhale se yun to guzar jaegi ye sham

Shahid Mahuli

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1943
har marhale se yuuñ to guzar jā.egī ye shaam
le kar balā-e-dard kidhar jā.egī ye shaam
phaileñgī chaar samt sunahrī udāsiyāñ
Takrā ke koh-e-shab se bikhar jā.egī ye shaam
rag rag meñ phail jā.egā tanhā.iyoñ kā zahr
chupke se mere dil meñ utar jā.egī ye shaam
TuuTā yaqīn zaḳhmī umīdeñ siyāh ḳhvāb
kyā le ke aaj sū-e-sahar jā.egī ye shaam
Thahregī ek lamhe ko ye gardish-e-hayāt
tham jā.egī ye sub.h Thahar jā.egī ye shaam
ḳhūnīñ bahut haiñ mamlikat-e-shab kī sarhadeñ
hāthoñ meñ le ke kāsa-e-sar jā.egī ye shaam
mahkegā lafz lafz se shāhid dayār-e-sub.h
le kar mirī ġhazal kā asar jā.egī ye shaam
Top Urdushayar.com