Shahid Mahuli

raat aisi ki kabhi jis ka sawera na hua

Shahid Mahuli

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1943
raat aisī ki kabhī jis kā saverā na huā
dard aisā ki koī jis kā masīhā na huā
raaz ik dil meñ liye phirte haiñ sahrā sahrā
koī hamrāz to ho shahr meñ aisā na huā
mere ehsās kī qismat meñ hī mahrūmī thī
kabhī sochā na huā aur kabhī chāhā na huā
dil ke ā.īne meñ har aks hai dhuñdlā dhuñdlā
laakh sūrat hai magar koī bhī tum sā na huā
bazm-e-aġhyār meñ 'shāhid' ke uḌe the purze
koī charchā na huā koī tamāshā na huā
Top Urdushayar.com