misāl-e-ā.īna rahnā koī mazāq nahīñ
ki sach ko muñh pe hī kahnā koī mazāq nahīñ
sunā hai aañsū to ghaḌiyāl ke bhī bahte haiñ
lahū kā aañkh se bahnā koī mazāq nahīñ
abhī hai vaqt sambhālo samāj ko logo
tamām qadroñ kā Dhahnā koī mazāq nahīñ
mazāq jis meñ ki husn-e-mazāq hī na mile
mazāq aisā bhī sahnā koī mazāq nahīñ
suḳhan-varoñ ko mazāq-e-suḳhan kā paas rahe
ġhazal suḳhan kā hai gahnā koī mazāq nahīñ
chaman kā ho ke bhī ahl-e-chaman se ai 'āzam'
hamesha ta.ane hī sahnā koī mazāq nahīñ