Muhiuddin Fauq

sard aaj-kal is darja zamane ki hawa hai

Muhiuddin Fauq

sard āj-kal is darja zamāne kī havā hai
anjām ke ehsās se dil kaañp rahā hai
vo shakl jo aate hī nazar ho ga.ī ġhā.eb
jaadū hai ki bijlī ki chhalāvā ki balā hai
kashmīr jise kahte haiñ sab ġhairat-e-firdaus
jab tū hī nahīñ hai paas to dozaḳh se sivā hai
kohsār par ye abr ke phirte hue saa.e
ik ālam-e-shādāb tujhe DhūñDh rahā hai
gar bādila sar par hai to maḳhmal hai tah-e-pā
al-qissa ajab manzar-e-pur-zeb-o-ziyā hai
aa aur mirī chashm-e-tasavvur meñ samā jā
ā.īna tirā der se be-aks paḌā hai
ai 'fauq' maiñ huuñ is liye muhtāj-e-rifāqat
tanhā rah-e-manzil meñ koī chhoḌ gayā hai
Top Urdushayar.com