dāman qarār-e-dil ke sab taar taar dekhe
jab terī vādiyoñ ke kuchh ābshār dekhe
jis ne tirī ḳhizāñ ke aise nikhār dekhe
gulzār-e-ḳhuld kī phir vo kyā bahār dekhe
har sub.h kī jhalak meñ har shaam kī shafaq meñ
sau sau tarah ke ham ne naqsh-o-nigār dekhe
bādal kā ghir ke aanā kud kī pahāḌiyoñ par
ai kaash vo nazāra phir chashm-e-zār dekhe
ik pardā-posh aalam ko be-naqāb dekhā
jab sabz sabz tere ye kohsār dekhe
gul-rez sarzamīñ meñ vo dil-farebiyāñ haiñ
jo ek baar dekhe vo baar baar dekhe
bach bach ke jin se ab tak tai kar rahe the rāheñ
vo tiir aaj ham ne siine ke paar dekhe