Sidra Sahar Imran

tu harf-e-aKHiri mera qissa tamam hai

Sidra Sahar Imran

Karachi, Sindh, Pakistan

1986
tū harf-e-āḳhirī mirā qissa tamām hai
tere baġhair zindagī karnā harām hai
karne haiñ tere jism pe ik baar dastaḳhat
taaki ḳhudā se kah sakūñ tū mere naam hai
hotā hai guftugū meñ bahut baar tazkira
ya.anī havā charāġh kā takiya-kalām hai
pahle-pahal milī thī hameñ shiddatoñ kī dhuup
ab yuuñ hai rābte kī sarā.e meñ shaam hai
āḳhir meñ bas nishāñ haiñ 'sahar' kuchh savāliya
phir is ke ba.ad dāstāñ kā iḳhtitām hai
Top Urdushayar.com