Sidra Sahar Imran

asbab-e-hast rah mein luTana paDa mujhe

Sidra Sahar Imran

Karachi, Sindh, Pakistan

1986
asbāb-e-hast rah meñ luTānā paḌā mujhe
phir ḳhālī haath dahr se jaanā paḌā mujhe
sab log tere shahr ke māzī-parast the
mushkil se haal meñ unheñ laanā paḌā mujhe
pahle banā.e aañkh meñ ḳhvāboñ ke maqbare
phir hasratoñ ko dil meñ dabānā paḌā mujhe
mujh ko to ḳhair ḳhāna-badoshī hī raas thī
tere liye makān banānā paḌā mujhe
kuchh aur jab rahā na zariya ma.āsh kā
kāñdhoñ pe bār-e-ishq uThānā paḌā mujhe
duniyā ye ghūmtī rahe parkār kī tarah
ik dā.era zamīñ pe banānā paḌā mujhe
ik din ye jī meñ aa.ī vo āñkheñ hī phoḌ duuñ
jin ke liye azaab uThānā paḌā mujhe
apne muāmle meñ hī shiddat-pasand thī
apne liye hī jaan se jaanā paḌā mujhe
Top Urdushayar.com