zo.am kā hī to āriza hai mujhe
merā maiñ hī to khā gayā hai mujhe
ātish zer-e-pā Thaharne na de
ab to manzil bhī rāsta hai mujhe
dard to kam nahīñ magar us ne
ḳhūgar-e-zabt kar diyā hai mujhe
ḳhud-ġharaz bevafā haqīr-o-faqīr
us ne kyā kyā nahīñ kahā hai mujhe
maiñ talabgār thā masarrat kā
daftar-e-rañj-o-ġham milā hai mujhe
maiñ ne ash.ār kab likhe 'āzam'
mere ash.ār ne likhā hai mujhe