Sidra Sahar Imran

be-KHayali mein kaha tha ki shanasai nahin

Sidra Sahar Imran

Karachi, Sindh, Pakistan

1986
be-ḳhayālī meñ kahā thā ki shanāsā.ī nahīñ
zindagī ruuTh ga.ī lauT ke phir aa.ī nahīñ
jo samajhnā hī na chāhe use samjhā.ī nahīñ
jo bhī ik baar kahī baat vo dohrā.ī nahīñ
husn saada hai tirā maiñ bhī bahut aam sī huuñ
merī āñkhoñ meñ kisī niil kī gahrā.ī nahīñ
merā hissa mujhe ḳhāmoshī se de detā hai
dard ke aage hathelī kabhī phailā.ī nahīñ
apne afkār liye pahlū-nashīñ ho ke rahā
dil se darvesh ne duniyā tirī apnā.ī nahīñ
shab ke tārīk laboñ par hai ka.ī saal kī chup
ḳhud se nārāz hai itnī kabhī muskā.ī nahīñ
baas phūloñ kī churā lī hai havāoñ ne magar
jo kalī yaad kī terī hai vo murjhā.ī nahīñ
aag ye donoñ taraf kyuuñ na barābar sī lage
haa.e vo ishq hī kyā jis meñ pazīrā.ī nahīñ
be-irāda bhī koī kaam ta.attul na paḌā
bā-irāda thī mulāqāt kī shab aa.ī nahīñ
Top Urdushayar.com