jāgte din kī galī meñ raat āñkheñ mal rahī hai
vaqt guzrā jā rahā hai dhuup chhat se Tal rahī hai
ik libās-e-fāḳhira hai surḳh ġharqābī mahal hai
kuchh purānī ho ga.ī hai par kahānī chal rahī hai
ik sitāra saaz āñkhoñ ke kināre bas rahā hai
ik mohabbat naam kī laḌkī badan meñ pal rahī hai
paas thā khoyā nahīñ hai jo na thā ab bhī nahīñ hai
umr bhar phir kyuuñ tabī.at muztarib be-kal rahī hai
aanā jaanā saañs kā kyā vasl se mashrūt hai
tū chale to tham rahī hai tū ruke to chal rahī hai
zard-rū vahshat-zada bhaTkī huī vīrān sī
zindagī ik shaam hai aur shaam ban meñ Dhal rahī hai