Sidra Sahar Imran

ghamgin be-maza baDi tanha udas hai

Sidra Sahar Imran

Karachi, Sindh, Pakistan

1986
ġhamgīn be-maza baḌī tanhā udaas hai
tere baġhair to mirī duniyā udaas hai
phailā huā hai raat kī āñkhoñ meñ soz-e-hijr
mahtāb-rut meñ chāñd kā chehra udaas hai
lo phir se aa gayā hai judā.ī kā marhala
āñkheñ haiñ nam mirī tirā lahja udaas hai
bārish bahā ke le ga.ī tinkoñ kā āshiyāñ
bhīge shajar kī shāḳh pe chiḌiyā udaas hai
shahzāda so gayā hai kahānī sune baġhair
bachpan ke taaq meñ rakhī guḌiyā udaas hai
āñkheñ muñDer par dhare guzrī shab-e-visāl
lipTā huā kalā.ī se gajrā udaas hai
sūraj lipaT ke jhiil ke paanī se ro diyā
manzar firāq-e-shām kā kitnā udaas hai
kis ko haiñ raas hijr kī kaThnā.iyāñ 'sahar'
jitnā qarīb ho koī utnā udaas hai
Top Urdushayar.com