safar ke biich vo bolā ki apne ghar jā.ūñ
añdherī raat meñ tanhā maiñ ab kidhar jā.ūñ
mujhe bigāḌ diyā hai mire hī logoñ ne
koī ḳhulūs se chāhe to maiñ sañvar jā.ūñ
mirī judā.ī meñ guzrī hai zindagī kaisī
ye jī meñ aa.ī hai is baar pūchh kar jā.ūñ
batā tū kufr kā fatvā lagā.egā mujh par
ḳhudā maiñ mānūñ tujhe aur phir mukar jā.ūñ
tū sabz jhiil ke paanī meñ DhūñDtā hī rahe
maiñ chāñd ok meñ bhar luuñ kamāl kar jā.ūñ
balā kā ḳhauf thamāyā hai ā.inoñ ne mujhe
maiñ aks apnā jo dekhūñ to jaise Dar jā.ūñ