Sidra Sahar Imran

lakDi ki do mezen hain ek lohe ki almari hai

Sidra Sahar Imran

Karachi, Sindh, Pakistan

1986
lakḌī kī do mezeñ haiñ ik lohe kī almārī hai
ik shā.ir ke kamre jaisī ham ne umr guzārī hai
ek salāḳhoñ vaalī khiḌkī jhāñk rahī hai āñgan meñ
dīvāroñ par uupar nīche ḳhvāboñ kī gul-kārī hai
manzar manzar bhiig rahā hai shahr kī ḳhālī saḌkoñ par
pakkī nahr pe gaañv ke ghoḌe kī Top savārī hai
pyaas bujhāne aate haiñ dukh dard parinde raat ga.e
ḳhvāb kā chashma phūTā thā āñkhoñ meñ ab tak jaarī hai
sandūq purānī yādoñ kā taalā toḌ ke dekhā to
ik resham kī shaal milī hai niile rañg kī saarī hai
vaqt mile to gul-daste kā haath pakaḌ kar aa jaanā
varna kahnā kaam bahut hai aane meñ dushvārī hai
Top Urdushayar.com