Dr. Azam

ummid par hamari ye duniya khari nahin

Dr. Azam

Ballia, Uttar pradesh, India

1963
ummīd par hamārī ye duniyā kharī nahīñ
phir bhī to us ko paane kī ḳhvāhish mirī nahīñ
be-vaj.h gul-ruḳhoñ se mirī be-ruḳhī kahāñ
mere junūn-e-shauq ke qābil parī nahīñ
taskīñ mile bhī dīda-e-hairāñ ko kis tarah
shīshagarī nahīñ kahīñ jalvagarī nahīñ
bad-rañg sī bahār hai fasl-e-bahār meñ
bashshāsh dil nahīñ hai tabī.at harī nahīñ
lagtā hai aaj shahr ke hālāt Thiik haiñ
masjid vagarna kal kī tarah kyuuñ bharī nahīñ
hālāñki mere jurm pe parde paḌe rahe
dil kī malāmatoñ se magar maiñ barī nahīñ
dhartī pe dikh rahe haiñ gunāhoñ ke ab asar
'āzam' kahīñ to ḳhushkī kahīñ par tarī nahīñ
Top Urdushayar.com