har shaḳhs meñ kuchh log kamī DhūñD rahe haiñ
nādān haiñ musbat meñ nafī DhūñD rahe haiñ
gul DhūñD rahe haiñ na kalī DhūñD rahe haiñ
gulshan meñ bas ik shāḳh harī DhūñD rahe haiñ
is yug meñ kahāñ ham bhī valī DhūñD rahe haiñ
insāñ meñ sifāt-e-basharī DhūñD rahe haiñ
bādal kī siyāhī meñ kiran jaisī chamaktī
har ġham meñ chhipī ham bhī ḳhushī DhūñD rahe haiñ
ik sher jo mauzūñ nahīñ kar paa.e haiñ ab tak
'ġhālib' kī ġhazal meñ bhī kamī DhūñD rahe haiñ
muddat se taqāza hai ki lauTā do mirā dil
muddat se bahānā hai abhī DhūñD rahe haiñ
tahzīb-o-tamaddun ko ḳhulūs aur vafā ko
'āzam' hī nahīñ aaj sabhī DhūñD rahe haiñ