sāmne ho kar bhī kab sab par ayaañ hote haiñ log
jo nazar aate haiñ vaise hī kahāñ hote haiñ log
chhāp se māhaul kī bachnā bahut dushvār hai
apne gird-o-pesh hī ke tarjumāñ hote haiñ log
pastiyoñ meñ bhī nazar aate haiñ azmat ke nishāñ
ḳhaak par rahte hue bhī āsmāñ hote haiñ log
qāfila sālār jab hote haiñ uf vo sā.ateñ
haa.e vo lamha ki jab be-kārvāñ hote haiñ log
zulm par bāñdheñ kamar to al-amān-o-al-hafīz
misl-e-chañgez ik balā-e-be-amāñ hote haiñ log
mehrbāñ ho jaa.eñ to rañj-o-alam kī dhuup meñ
peḌ kī sūrat ghanerā sā.ebāñ hote haiñ log
naqsh-e-pā tak bhī nahīñ milte kahīñ un ke 'na.īm'
dekhte hī dekhte yuuñ be-nishāñ hote haiñ log