zahr ke jaam haiñ bahut saare
sach ke in.aam haiñ bahut saare
ye jo un kā salām aayā hai
is meñ paiġhām haiñ bahut saare
zikr kis kā kareñ kise chhoḌeñ
zehn meñ naam haiñ bahut saare
sādgī kam-navā.ī nādānī
ham pe ilzām haiñ bahut saare
ek hī kaam to nahīñ ham ko
aur bhī kaam haiñ bahut saare
bach ke chalnā nahīñ 'na.īm' āsāñ
daam har gaam haiñ bahut saare