Sayed Ziyauddin Naeem

barte kuchh imtiyaz to insan kam se kam

Sayed Ziyauddin Naeem

Bahawalpur, Punjab, Pakistan

1950
barte kuchh imtiyāz to insān kam se kam
ho apne dostoñ kī to pahchān kam se kam
ahl-e-ġharaz kisī ke hue haiñ jo hoñ mire
itnā to soch ai dil-e-nādān kam se kam
hogā yahī bahut se bahut jaañ se jā.eñge
rah jā.egī vafā kī magar aan kam se kam
chaliye mo.āmla ye kisī samt to huā
kam to huā ye roz kā ḳhaljān kam se kam
aisā nahīñ ki māya-e-ehsās bhī na ho
itne nahīñ haiñ be-sar-o-sāmān kam se kam
nā-mumkināt meñ se to shāyad na ho 'na.īm'
aamad bahār kī nahīñ āsān kam se kam
Top Urdushayar.com