Sayed Ziyauddin Naeem

har dam ki kashmakash se nikal rasta badal

Sayed Ziyauddin Naeem

Bahawalpur, Punjab, Pakistan

1950
har dam kī kashmakash se nikal rāsta badal
ab aur un ke saath na chal rāsta badal
ye ḳhalfishār-e-zehn ye ḳhadshe ye hujjateñ
in sab kā bas hai ek hī hal rāsta badal
naḳhvat-parast logoñ ko chhoḌ un ke haal par
vaqt un ke ḳhud nikālegā bal rāsta badal
sochoñ meñ jin kī taaza havā kā guzar nahīñ
kar deñge terā zehn bhī shal rāsta badal
ye terī zindagī hai guzār apne Dhañg se
sāñche meñ dūsroñ ke na Dhal rāsta badal
tū jin kā ham-qadam hai ye be-mehr log haiñ
hoñge tire ye aaj na kal rāsta badal
nuqsān degī tujh ko bahut gū-magū 'na.īm'
tāḳhīr kar na ek bhī pal rāsta badal
Top Urdushayar.com