aql kitnī shu.ūr kitnā hai
phir bhī tujh ko ġhurūr kitnā hai
har koī tujh se duur kitnā hai
is meñ terā qusūr kitnā hai
mīThī mīThī tumhārī bātoñ ke
pas-e-parda futūr kitnā hai
ham ko taufīq hī nahīñ hotī
ghar tirā varna duur kitnā hai
ye to ahl-e-junūñ hī jānte haiñ
hosh-e-taht-e-shu.ūr kitnā hai
satr-dar-satr paḌhne vaale dekh
qissa bainassutūr kitnā hai
daaġh hai māthe par magar 'āzam'
us ke chehre pe nuur kitnā hai