Sayed Ziyauddin Naeem

wo log jinko hai ab KHud-kushi se dilchaspi

Sayed Ziyauddin Naeem

Bahawalpur, Punjab, Pakistan

1950
vo log jin ko hai ab ḳhud-kushī se dilchaspī
kabhī bahut thī unheñ zindagī se dilchaspī
hai rasm-o-rāh bas apne mafād kī had tak
yahāñ kahāñ hai kisī ko kisī se dilchaspī
muāmlāt kiye jaa.eñ ab sipurd un ke
muāmlāt meñ jo leñ ḳhushī se dilchaspī
na samt dekhī na rasta ajiib aalam thā
hameñ thī sirf tirī ham-rahī se dilchaspī
qubūl añdherā ḳhushī se koī nahīñ kartā
kise nahīñ hai bhalā raushnī se dilchaspī
udhar jhukāo to hotā hai jā ke barsoñ meñ
hai jin umuur meñ tum ko abhī se dilchaspī
'na.īm' saare hī insāñ haiñ lā.eq-e-takrīm
sabhī se uns hai ham ko sabhī se dilchaspī
Top Urdushayar.com