Sayed Ziyauddin Naeem

tumhein pasand hai tanha safar ziyaada-tar

Sayed Ziyauddin Naeem

Bahawalpur, Punjab, Pakistan

1950
tumheñ pasand hai tanhā safar ziyāda-tar
yahī rahā mire pesh-e-nazar ziyāda-tar
gumāñ ki lauT ke aa jā.eñge kisī saa.at
usī gumāñ ne ujāḌe haiñ ghar ziyāda-tar
gurez ke koī lamhe bhī aa ga.e hoñge
tumhārī yaad rahī ham-safar ziyāda-tar
dikhā.ī detī haiñ kab ḳhud ko ḳhāmiyāñ apnī
fareb khātī hai apnī nazar ziyāda-tar
kahāñ maqām vo hotā hai sar jhukāne kā
vo jis maqām pe jhukte haiñ sar ziyāda-tar
ye e'tibār kī duniyā bhī ḳhuub duniyā hai
ki mo'atabar bhī hai nā-mo'tabar ziyāda-tar
'na.īm' kaam kiye kam hī kaam ke ham ne
abas guzāre haiñ shām-o-sahar ziyāda-tar
Top Urdushayar.com