ḳhabt-e-azmat meñ giraftār nahīñ bhī hote
log kuchh bā.is-e-āzār nahīñ bhī hote
pas-e-bāzār bhī bik jaate haiñ bikne vaale
kitne saude sar-e-bāzār nahīñ bhī hote
yuuñ bhī hotā hai kisī pal ki mozāhim hālāt
raah de dete haiñ dīvār nahīñ bhī hote
ik tamāshā sā ba-har-hāl lagā rahtā hai
manzar-e-ām pe kirdār nahīñ bhī hote
baar to hote haiñ duniyā ke jhamele aksar
vaise kuchh baar girāñ-bār nahīñ bhī hote
pārsā.ī bhī kahīñ Dhoñg huā kartī hai
kuchh gunahgār gunahgār nahīñ bhī hote