maiñ nahīñ jā pā.ūñgā yaaro sū-e-gulzār abhī
dekhnī hai āb-jū-e-zīst kī raftār abhī
kar chukā huuñ paar ye dariyā na jaane kitnī baar
paar ye dariyā karūñgā aur kitnī baar abhī
ghuum phir kar dasht-o-sahrā phir vahīñ le aa.e paañv
dil nahīñ hai shāyad is nazzāre se be-zār abhī
kāvish-e-paiham abhī ye silsila rukne na paa.e
jaan abhī āñkhoñ meñ hai aur paañv meñ raftār abhī
ai mire armān-e-dil bas ik zarā kuchh aur sabr
raat abhī kaTne ko hai milne ko bhī hai yaar abhī
jazba-e-dil dekhnā bhaTkā na denā raah se
muntazir hogā mirā bhī ḳhud mirā dil-dār abhī
hoñgī to is rah-guzar meñ bhī kamīñ-gāheñ hazār
phir bhī ye bār-e-safar kyuuñ ho mujhe dushvār abhī