ḳhalish-o-soz dil-figār hī dī
dil meñ shamshīr āb-dār hī dī
bevafā se muāmle ke liye
ik tabī.at vafā-shi.ār hī dī
kaifiyat dil kī byaan karne ko
ek āvāz dil-figār hī dī
ḳhaar ko to zabān-e-gul baḳhshī
gul ko lekin zabān-e-ḳhār hī dī
dil shab-e-zinda-dār ham ko diyā
husn ko chashm-e-pur-ḳhumār hī dī
ḳhud raqīboñ ke vāste maiñ ne
zulf ma.ashūq kī sañvār hī dī
kyā nasheb-o-farāz thī 'tanvīr'
zindagī aap ne guzār hī dī