be-mahal hai guftugū haiñ be-asar ash.ār abhī
zindagī be-lutf hai nā-puḳhta haiñ afkār abhī
pūchhte rahte haiñ ġhairoñ se abhī tak merā haal
aap tak pahuñche nahīñ shāyad mire ash.ār abhī
zindagī guzrī abhī is aag ke girdāb meñ
dil se kyuuñ jaane lagī hirs-lab-o-ruḳhsār abhī
haañ ye sach hai sar-ba-sar kho.e ga.e haiñ aql-o-hosh
dil meñ dhaḌkan hai abhī dil to hai ḳhud-muḳhtār abhī
kyuuñ na kar luuñ aur abhī sair-e-bahār-e-lāla-zār
maiñ nahīñ mahsūs kartā huuñ nahīf-o-zār abhī