ashk par zor kuchh chalā hī nahīñ
maiñ ne rokā bahut rukā hī nahīñ
ātish zer-e-pā sabab varna
ḳhaak sahrā kī chhāntā hī nahīñ
yā to sab kā ḳhudā hī sachchā hai
yā to sachchā koī ḳhudā hī nahīñ
zehn kahtā hai sar jhukā le tū
dil magar hai ki māntā hī nahīñ
bāl-o-par hoñ qavī to kyā hāsil
jab uḌānoñ kā hausla hī nahīñ
haa.e maiñ ne pas-e-ġhalat-fahmī
vo sunā maiñ ne jo kahā hī nahīñ
maut kā Dar ise dikhā.eñ kyā
zinda rahnā jo chāhtā hī nahīñ
sirf ehsās-e-kamtarī hai tujhe
aur tū hai ki māntā hī nahīñ
maiñ hī maiñ bazm meñ rahā maujūd
aur maiñ bazm meñ gayā hī nahīñ
merī ġhībat meñ vo bhī haiñ shāmil
aaj tak jin se maiñ milā hī nahīñ
jo ki pahchān ho mirī 'āzam'
sher aisā koī huā hī nahīñ