M Kothiyavi Rahi

rasta kisi wahshi ka abhi dekh raha hai

M Kothiyavi Rahi

Azamgarh, Uttar pradesh, India

-2005
rasta kisī vahshī kā abhī dekh rahā hai
ye peḌ jo is raah meñ sadiyoñ se khaḌā hai
ġhurbat ke añdhere meñ tirī yaad ke jugnū
chamke haiñ to rāhoñ kā safar aur baḌhā hai
duniyā se alag ho ke guzartī hai javānī
hālāñ ki ye mumkin nahīñ purkhoñ se sunā hai
chāhat jo junūñ ke liye zanjīr banī thī
aaj us ko bhī vahshat ne mirī toḌ diyā hai
yaaro na abhī apne Thikānoñ ko sidhāro
kuchh baat karo raat kaTe sard havā hai
ik ġham kā alaav hai jise gher ke sab log
baiThe haiñ ki 'rāhī' ne nayā giit likhā hai
Top Urdushayar.com