gūmūñ nahīñ to kyā maiñ kahīñ jā ke paḌ rahūñ
bīmār aadmī kī tarah raat kaaT duuñ
dekhegā aaj merī taraf kaun pyaar se
bujhtā huā charāġh huuñ patjhaḌ kā chāñd huuñ
tasvīr ban ke dekh rahā huuñ jahān ko
tū hī batā ki aur maiñ ab kaise chup rahūñ
shīrīñ hai zahr maut kā ai talḳhī-e-hayāt
jī chāhtā hai aaj tirā jaam toḌ duuñ
is baare meñ to aap se behtar huuñ maiñ zarūr
piinā bhī paḌ gayā to piyā hai ḳhud apnā ḳhuuñ
ḳhat likh ke phaaḌ denā mire mashġhaloñ meñ hai
paḌhtī rahī hai aag mirā nāma-e-zubūñ
gir jā.egī ye chhat jo chalī jhuum kar havā
'rāhī' mirī hayāt hai ik qasr-e-be-sutūñ