hañsī meñ haq jatā kar ghar-jamā.ī chhīn letā hai
mire hisse kī TuuTī chārpā.ī chhīn letā hai
use mauqa.a mile to paa.ī paa.ī chhīn letā hai
yahāñ bhaa.ī kī ḳhushiyāñ us kā bhaa.ī chhīn letā hai
bhalā fursat kise hai jo yahāñ rishtoñ ko pahchāne
ye daur-e-ḳhud-farebī āshnā.ī chhīn letā hai
jahālat meñ vo kāmil hai moallim ban gayā kaise
paḌhātā hai ki bachchoñ kī paḌhā.ī chhīn letā hai
ravā hai us ko har sarqa tavārud ke bahāne se
kabhī nazmeñ kabhī ġhazleñ parā.ī chhīn letā hai
koī qaabū nahīñ chaltā ki us ke husn kā Daaku
kisī bhī pārsā kī pārsā.ī chhīn letā hai
mirā mahbūb natwarlal hai kyā jo mire dil ko
dikhā kar apne hāthoñ kī safā.ī chhīn letā hai
baḌā chālāk hai shāgird se ustād hairāñ haiñ
ġhazal kahte hī vo ban kar qasā.ī chhīn letā hai
ham apnī qaum kā jab chāhte haiñ rahnumā banñā
koī ''dādā'' hamārī rahnumā.ī chhīn letā hai
salāmat merā sarmāya kabhī rahne nahīñ paatā
na chhīne vo to koī x y chhīn letā hai
kamā.ī chhoTe afsar bhī kiyā karte haiñ lākhoñ meñ
magar sab se baḌā afsar malā.ī chhīn letā hai
badan merā ThiThur jaatā hai us kī sard-mehrī se
vo zālim hai mohabbat kī razā.ī chhīn letā hai
buḌhāpe ke liye koī raqam jab bhī bachātā huuñ
to beTā hī use de kar duhā.ī chhīn letā hai
yahī maġhrib kī ḳhūbī hai yahī faizān hai us kā
burā.ī baañT detā hai bhalā.ī chhīn letā hai
nikalne hī nahīñ detā kisī ko apne phande se
dimāġh o dil se tadbīr-e-rihā.ī chhīn letā hai
'zafar' tum vaqt se Darte raho is par nazar rakkho
ye dil-bar se bhī us kī dilrubā.ī chhīn letā hai