naam se gāñdhī ke chiḌh bair āzādī se hai
nafratoñ kī khaad haiñ ulfat magar khādī se hai
ālimoñ kā ilm se vo rabt hai is daur meñ
rabt dhobī ke gad.he kā jis tarah laadī se hai
ḳhvāb-e-ġhaflat se vahī nisbat hai merī qaum ko
āshiqoñ kā jo ta.alluq dil kī barbādī se hai
shauharoñ se bībayāñ laḌtī haiñ chhāpa-mār jañg
rābta un kā bhī kyā kashmīr kī vaadī se hai
dekhnā hai ab yahī detā hai kis ko kaun maat
sāmnā jantā kā phir kursī ke fariyādī se hai
jaise sayyādoñ ko sayyādī se rahtī hai ġharaz
kaam ustādoñ ko vaise apnī ustādī se hai
baap daadā ke hī nusḳhe meñ hai apnī bhī shifā
ham ko derīna ta.alluq ḳhāna-dāmādī se hai
sharm se hotā nahīñ hai vāsta be-sharm ko
jo muḳhannas ho use kyā vāsta shādī se hai
dostoñ kī dostī dekhī hai jab se ai 'zafar'
ishq vīrāne se hai to vahshat ābādī se hai