Jaleel Fatehpuri

hukm qudrat ne jab aalam-gari ka likkha

Jaleel Fatehpuri

hukm qudrat ne jab ālām-garī kā likkhā
qismat-e-ishq meñ ġham be-asarī kā likkhā
āḳhirash chāk-e-garebāñ nazar aayā ḳhud bhī
haal jis ne bhī mirī jāma-darī kā likkhā
paḌhte hī nāma-e-pur-shauq mirā us ne kahā
ye to hai ālam-e-āshufta-sarī kā likkhā
varaq-e-dil pe mire ishq ne afsos ke saath
hādisa terī pashemāñ-nazarī kā likkhā
jis ne tārīḳh-e-gulistān-e-mohabbat likkhī
pahle qissa mirī be-bāl-o-parī kā likkhā
apnī qudrat kā jab iz.hār kiyā sān.e.a ne
raaz ā.īne pe ā.īna-garī kā likkhā
juz mire paḌh na sakā koī gulistāñ meñ 'jalīl'
varaq-e-gul pe nasīm-e-saharī kā likkhā
Top Urdushayar.com