Jaleel Fatehpuri

faiz tha uske tasawwur ka jo chashm-e-tar tak

Jaleel Fatehpuri

faiz thā us ke tasavvur kā jo chashm-e-tar tak
qāfile rañg ke khiñch aa.e hamāre ghar tak
dekhte ahl-e-jahāñ zauq-e-vafā ke jauhar
us kī talvār hī pahuñchī na hamāre sar tak
tere kūche kī fazā aur hī kuchh hai yuuñ to
nazreñ ho aa.ī haiñ duniyā ke har ik manzar tak
ai ḳhirad tujh se kisī dil ko jagāyā na gayā
ishq ke haath meñ to bol uThe patthar tak
ham to mausam ke ishāroñ se bahak jaate haiñ
mai-kashī kuchh nahīñ mahdūd ḳhum-o-sāġhar tak
maut aa jaa.e bas ik sajda-e-pur-shauq ke ba.ad
kaash ho jaa.e rasā.ī kabhī tere dar tak
kyā ho anjām taraqqī kā ḳhudā jaane 'jalīl'
shorish-e-aql se larzāñ haiñ mah-o-aḳhtar tak
Top Urdushayar.com