Boom Merathi

agar dushman ki thoDi si marammat aur ho jati

Boom Merathi

1881
agar dushman kī thoḌī sī marammat aur ho jaatī
to phir ullū ke paThThe ko nasīhat aur ho jaatī
shab-e-va.ada maiñ un kī kam-sinī se Dar gayā varna
zarā sī baat par nāzil musībat aur ho jaatī
yahī achchhā huā tū ne jo zulfoñ ko muñDā Daalā
nahīñ to tere dīvānoñ kī hālat aur ho jaatī
agar tum nīm-uryāñ hashr ke maidāñ meñ aa jaate
qayāmat meñ phir ik barpā qayāmat aur ho jaatī
sharāb-e-nāb kī kartā mazammat phir na bhūle se
jo mai-ḳhāne meñ vaa.iz kī marammat aur ho jaatī
na un kī kam-sinī se maiñ sazā paatā adālat se
jo un ke āshnāoñ kī shahādat aur ho jaatī
lagā kartī hazāroñ āshiqoñ ko be-ḳhatā phāñsī
hasīnoñ kī agar ghar kī adālat aur ho jaatī
ḳhatā peshāb dushman kā huā ghar un ke piTne se
mazā jab thā ki saale ko ijābat aur ho jaatī
hameñ chāroñ taraf se gher rakkhā hai girānī ne
mire allāh ye duniyā se ġhārat aur ho jaatī
agar bosa diyā hai vasl kā va.ada bhī kar liije
ināyat kī to thoḌī sī ināyat aur ho jaatī
agar dil ko bachātā maiñ na zulfoñ ke aḌañge se
to duniyā bhar se lambī shām-e-furqat aur ho jaatī
duā hai 'būm' kī yārab ye cotton-mils kī bābat
taraqqī aur hotī zeb-o-zīnat aur ho jaatī
Top Urdushayar.com