Boom Merathi

allah allah wasl ki shab is qadar eajaz hai

Boom Merathi

1881
allāh allāh vasl kī shab is qadar e.ajāz hai
ek zarā sī chiiz hai us par bhī itnā naaz hai
ḳhair ho yārab ke husn-o-ishq kā āġhāz hai
is taraf dil hai udhar susarī nigāh-e-nāz hai
jab bahār aa.ī mue pinjre chaman ko uḌ gayā
is musībat par bhī itnī quvvat-e-parvāz hai
chhuT ga.iiñ nabzeñ hue lab band putlī phir ga.iiñ
aur vo mardūd kahtā hai ki ye dam-bāz hai
ġhair ne mujh ko satā kar jail kī khaa.ī havā
ye na samjhā thā ki us kā laTTh be-āvāz hai
jab kahā us ne ki uTh be-jhaT maiñ zinda ho gayā
baat kī to baat hai e.ajāz kā e.ajāz hai
toḌ kar badnām tum dil ko mire ho jāoge
is meñ poshīda mohabbat kā tumhārī raaz hai
ġhair ko laa.e haiñ mere ghar vo ma.e bistare
bhed is meñ bhī koī us meñ bhī koī raaz hai
ishq meñ paidā nahīñ hotā hai sasūrā inqalāb
husn de jaatā hai dhoka husn dhoka-bāz hai
ab koī din bhī buḌhāpā Thokareñ khilvā.egā
husn hai chand roza jis pe tum ko naaz hai
noch kar mere paroñ ko kar diyā hai DanD-manD
ab na qavve hai na mujh meñ tāqat-e-parvāz hai
vasl kī shab chār-dam chhalle bhī un ke saath haiñ
ya.anī shoḳhī hai sharārat hai hayā hai naaz hai
ġhair kī kuchh haisiyat bhī aap ko ma.alūm hai
ḳhud hai chaukīdār baada us kā barfandāz hai
merī fariyād-o-fuġhāñ sun kar harāmī ne kahā
ye usī ullū-ke-paTThe 'būm' kī āvāz hai
Top Urdushayar.com