Boom Merathi

is qadar baDh gai wahshat tere diwane ki

Boom Merathi

1881
is qadar baḌh ga.ī vahshat tire dīvāne kī
toḌ ke pheñk diiñ sab khuDDiyāñ pāḳhāne kī
kostā aise hai mardūd hamesha mujh ko
kabhī māñgī na duā ġhair ke mar jaane kī
khiñch rahā hai vo shab-e-vasl kā naqsha-e-dil meñ
yaad hai ham ko adā.eñ tere sharmāne kī
jab se us shoḳh kī zulfoñ kā liyā hai bosa
baḌh ga.ī aur bhī vahshat dil-e-dīvāne kī
shaiḳh sāhab ne to pūchhā thā pata masjid kā
raah rindoñ ne batā dī use maiḳhāne kī
aa ga.ī ab to javānī huā bachpan ruḳhsat
kyā zarūrat hai shab-e-vasl meñ ghabrāne kī
ḳhalvat-e-yār meñ rahne ko jagah mil jaa.e
na to ka.aba kī zarūrat hai na but-ḳhāne kī
dāl-roTī kā baḌā fikr thā ye bhī chhūTā
ho ga.ī jab ki ye aadat hameñ ġham khāne kī
kam-sinī meñ na agar ġhair se jā kar milte
ham kabhī dekhte sūrat na shifā-ḳhāne kī
jhūTī sachchī kī nahīñ fikr ḳhushī to ye hai
un ko aadat hai mire sar kī qasam khāne kī
dil meñ aatā hai ki dushman ke lagā.ūñ juute
le gayā saalā slēper mirī das-āne kī
muñh kiyā raat ko kaalā jo zabardastī se
kyā zarūrat thī tumheñ ġhair ke ghar jaane kī
apne marne kī ḳhabar yaar ne jhūTī bhejī
ḳhuub tadbīr nikālī mire mar jaane kī
jab ye dekhā ki nahāte haiñ vo nañge ho kar
khiḌkiyāñ toḌ diiñ sab maiñ ne ġhusul-ḳhāne kī
donoñ ThanDak meñ paḌe rahte haiñ bāham leTe
yaad bhī hai vo tumheñ baat baraf-ḳhāne kī
jab se āñkhoñ pe paḌā aks tire jalve kā
huī us roz se aadat mujhe chuñdhiyāne kī
ek din vo thā ki vo uḌ ke chalā karte the
ek din ye hai ki aadat huī katrāne kī
us ke dar kā na miyāñ 'būm' ne pīchhā chhoḌā
īñT-se-īñT bajā kar rahe tah-ḳhāne kī
Top Urdushayar.com