havā ke taḳht par agar tamām umr tū rahā
mujhe ḳhabar na ho sakī pa saath saath maiñ bhī thā
chamakte nuur ke dinoñ meñ tere āstāñ se duur
vo maiñ ki āftāb kī safed shāḳh par khilā
hijāb aa gayā thā mujh ko dil ke iztirāb par
yahī sabab hai tere dar pe lauT kar na aa sakā
vo kis makāñ kī dhuup thii, galī galī meñ bhar ga.ī
vo kaun sabza-ruḳh thā jo ki mom sā pighal gayā
kabhī to chal ke dekho saa.e pīpaloñ ke des ke
jahāñ laḌakpanā hamāre haath se judā huā