Dr. Azam

afsos bani hi nahin pahchan abhi tak

Dr. Azam

Ballia, Uttar pradesh, India

1963
afsos banī hī nahīñ pahchān abhī tak
har ahl-e-nazar mujh se hai anjān abhī tak
sadiyoñ ke taġhayyur se banī sūrat-e-insāñ
insān nahīñ hai magar insān abhī tak
ilhām se ib.hām se īhām se chhūTe
kitne haiñ ḳhayālāt pareshān abhī tak
kitne hī khule fahm-o-farāsat ke darīche
haiñ qaid-e-jahālat meñ ham insān abhī tak
haiñ dair-o-haram kuchh ki nahīñ dair-o-haram kuchh
Thahrā nahīñ merā kahīñ īmān abhī tak
ham ahl-e-tazabzub kā fasāna bhī ajab hai
kāfir hī bane haiñ na musalmān abhī tak
taskīn kī sūrat koī miltī nahīñ 'āzam'
merī nigah-e-shauq hai hairān abhī tak
Top Urdushayar.com