Ali Akbar Natiq

kase kajawe mahmalon ke aur jaga raat ka tara bhi

Ali Akbar Natiq

Okara, Punjab, Pakistan

1976
kase kajāve mahmaloñ ke aur jaagā raat kā taarā bhī
chhoḌ dī bastī nāqoñ ne ḳhāmosh huā naqqārā bhī
chāñd sī āñkheñ khel rahī thiiñ surḳh pahāḌ kī oToñ se
pūrab or se taak rahā thā uTh kar abr kā paara bhī
qāfile gard-e-safar meñ Dūbe, ghanTiyoñ kī āvāz ghuTī
āḳhirī uuñT kī pusht pe Daalā raat ne siyāh ġharāra bhī
shahr ke chauk meñ vīrānī hai aag bujhī, andher huā
raakh saroñ meñ Daal ke baiThe, aaj tire āvāra bhī
koī na rasta naap sakā hai, ret pe chalne vāloñ kā
agle qadam par miT jā.egā pahlā naqsh hamārā bhī
Top Urdushayar.com