Ali Akbar Natiq

azal ke qissa-go ne dil ki jo utari dastan

Ali Akbar Natiq

Okara, Punjab, Pakistan

1976
azal ke qissa-go ne dil kī jo utārī dāstāñ
kahīñ kahīñ se us ne to bahut sañvārī dāstāñ
huā se jo sairbīñ purāne mausamoñ kī hai
sunā sunā ke thak ga.ī mirī tumhārī dāstāñ
kisī kā saaya rah gayā galī ke ain moḌ par
usī habīb saa.e se banī hamārī dāstāñ
mirī jabīñ pe sānehāt ne likhī haiñ arziyāñ
ye arziyāñ haiñ hasratoñ kī ek bhārī dāstāñ
dil-e-ḳharāb-o-ḳhasta par nazar na tū ne kī bahāl
ki us makāñ kī tere gosh sau guzārī dāstāñ
Top Urdushayar.com