ro chale chashm se girya kī riyāzat kar ke
āñkheñ be-nūr haiñ yūsuf kī ziyārat kar ke
dil kā ahvāl to ye hai ki ye chup-chāp faqīr
lag ke dīvār se baiThā tujhe ruḳhsat kar ke
itnā āsāñ nahīñ paanī se shabīheñ dhonā
ḳhud bhī ro.egā musavvir ye qayāmat kar ke
sarfarāzī use baḳhshī hai jahāñ ne mutlaq
daar tak pahuñchā agar koī bhī himmat kar ke