hai nigāhoñ meñ koh-e-tūr miyāñ
maiñ nahīñ huuñ ḳhudā se duur miyāñ
vo bhī taqrīr kar rahe haiñ jinheñ
bolne kā nahīñ shu.ūr miyāñ
le na Duube tirī ibādat ko
zohd-o-taqvā kā ye ġhurūr miyāñ
mere muñh meñ nahīñ zabāñ aisī
boltī jo hai jī-huzūr miyāñ
rah ke dillī meñ bhī ye lagtā hai
ab bhī dillī bahut hai duur miyāñ
ek maqtal thī mahfil-e-yārāñ
ham hī zulmat ko samjhe nuur miyāñ
ḳhuub haiñ sajda-reziyāñ terī
nafs par bhī to ho ubuur miyāñ