Dagh Dehlvi

is ada se wo jafa karte hain

Dagh Dehlvi

Delhi, India

1831-1905
is adā se vo jafā karte haiñ
koī jaane ki vafā karte haiñ
yuuñ vafā ahd-e-vafā karte haiñ
aap kyā kahte haiñ kyā karte haiñ
ham ko chheḌoge to pachhtāoge
hañsne vāloñ se hañsā karte haiñ
nāma-bar tujh ko salīqa hī nahīñ
kaam bātoñ meñ banā karte haiñ
chaliye āshiq kā janāza uTThā
aap baiThe hue kyā karte haiñ
ye batātā nahīñ koī mujh ko
dil jo aatā hai to kyā karte haiñ
husn kā haq nahīñ rahtā baaqī
har adā meñ vo adā karte haiñ
tiir āḳhir badal-e-kāfir hai
ham aḳhīr aaj duā karte haiñ
rote haiñ ġhair kā ronā pahroñ
ye hañsī mujh se hañsā karte haiñ
is liye dil ko lagā rakkhā hai
is meñ mahbūb rahā karte haiñ
tum miloge na vahāñ bhī ham se
hashr se pahle gila karte haiñ
jhāñk kar rauzan-e-dar se mujh ko
kyā vo shoḳhī se hayā karte haiñ
us ne ehsān jatā kar ye kahā
aap kis muñh se gila karte haiñ
roz lete haiñ nayā dil dilbar
nahīñ mālūm ye kyā karte haiñ
'dāġh' tū dekh to kyā hotā hai
jabr par sabr kiyā karte haiñ
Top Urdushayar.com