Dagh Dehlvi

minnaton se bhi na wo hur-shamail aaya

Dagh Dehlvi

Delhi, India

1831-1905
minnatoñ se bhī na vo hūr-shamā.il aayā
kis jagah aañkh laḌī haa.e kahāñ dil aayā
ham na kahte the na kar ishq pashīmāñ hogā
jo kiyā tū ne vo aage tire ai dil aayā
qahqahe qulqul-e-mīnā ne lagā.e kyā kyā
mujh ko mastī meñ jo ronā sar-e-mahfil aayā
qatl kī sun ke ḳhabar iid manā.ī maiñ ne
aaj jis se mujhe milnā thā gale mil aayā
tā dam-e-marg na ho vo mire dushman ko nasīb
jo mazā mujh ko ilāhī dam-e-bismil aayā
marqad-e-qais par ab tak bhī to ḳhār-e-sahrā
uñgliyoñ se ye batāte haiñ vo mahmil aayā
ganj-e-qārūñ ke sivā bhī hai adam meñ sab kuchh
haa.e duniyā meñ na is mulk kā hāsil aayā
jis ne kuchh hosh sambhālā vo javāñ qatl huā
ahd-e-pīrī na tire ahd meñ qātil aayā
diin o duniyā se gayā to ye samajh le ai 'dāġh'
ġhazab aayā agar us but pe tirā dil aayā
Top Urdushayar.com