Dagh Dehlvi

tamasha-e-dair-o-haram dekhte hain

Dagh Dehlvi

Delhi, India

1831-1905
tamāshā-e-dair-o-haram dekhte haiñ
tujhe har bahāne se ham dekhte haiñ
hamārī taraf ab vo kam dekhte haiñ
vo nazreñ nahīñ jin ko ham dekhte haiñ
zamāne ke kyā kyā sitam dekhte haiñ
hamīñ jānte haiñ jo ham dekhte haiñ
phire but-kade se to ai ahl-e-ka.aba
phir aa kar tumhāre qadam dekhte haiñ
hameñ chashm-e-bīnā dikhātī hai sab kuchh
vo andhe haiñ jo jām-e-jam dekhte haiñ
na īmā-e-ḳhvāhish na iz.hār-e-matlab
mire muñh ko ahl-e-karam dekhte haiñ
kabhī toḌte haiñ vo ḳhanjar ko apne
kabhī nabz-e-bismil meñ dam dekhte haiñ
ġhanīmat hai chashm-e-taġhāful bhī un kī
bahut dekhte haiñ jo kam dekhte haiñ
ġharaz kyā ki samjheñ mire ḳhat kā mazmūñ
vo unvān o tarz-e-raqam dekhte haiñ
salāmat rahe dil burā hai ki achchhā
hazāroñ meñ ye ek dam dekhte haiñ
rahā kaun mahfil meñ ab aane vaalā
vo chāroñ taraf dam-ba-dam dekhte haiñ
udhar sharm haa.il idhar ḳhauf maane
na vo dekhte haiñ na ham dekhte haiñ
unheñ kyuuñ na ho dilrubā.ī se nafrat
ki har dil meñ vo ġham alam dekhte haiñ
nigahbāñ se bhī kyā huī bad-gumānī
ab us ko tire saath kam dekhte haiñ
hameñ 'dāġh' kyā kam hai ye sarfarāzī
ki shāh-e-dakan ke qadam dekhte haiñ
Top Urdushayar.com