aarzū hai vafā kare koī
jī na chāhe to kyā kare koī
gar maraz ho davā kare koī
marne vaale kā kyā kare koī
koste haiñ jale hue kyā kyā
apne haq meñ duā kare koī
un se sab apnī apnī kahte haiñ
merā matlab adā kare koī
chaah se aap ko to nafrat hai
mujh ko chāhe ḳhudā kare koī
us gile ko gila nahīñ kahte
gar maze kā gilā kare koī
ye milī daad rañj-e-furqat kī
aur dil kā kahā kare koī
tum sarāpā ho sūrat-e-tasvīr
tum se phir baat kyā kare koī
kahte haiñ ham nahīñ ḳhudā-e-karīm
kyuuñ hamārī ḳhatā kare koī
jis meñ lākhoñ baras kī hūreñ hoñ
aisī jannat ko kyā kare koī
is jafā par tumheñ tamannā hai
ki mirī iltijā kare koī
muñh lagāte hī 'dāġh' itrāyā
lutf hai phir jafā kare koī