Dagh Dehlvi

teri surat ko dekhta hun main

Dagh Dehlvi

Delhi, India

1831-1905
terī sūrat ko dekhtā huuñ maiñ
us kī qudrat ko dekhtā huuñ maiñ
jab huī sub.h aa ga.e nāseh
unhīñ hazrat ko dekhtā huuñ maiñ
vo musībat sunī nahīñ jaatī
jis musībat ko dekhtā huuñ maiñ
dekhne aa.e haiñ jo merī nabz
un kī sūrat ko dekhtā huuñ maiñ
maut mujh ko dikhā.ī detī hai
jab tabī.at ko dekhtā huuñ maiñ
shab-e-furqat uThā uThā kar sar
sub.h-e-ishrat ko dekhtā huuñ maiñ
duur baiThā huā sar-e-mahfil
rañg-e-sohbat ko dekhtā huuñ maiñ
har musībat hai be-mazā shab-e-ġham
aafat aafat ko dekhtā huuñ maiñ
na mohabbat ko jānte ho tum
na muravvat ko dekhtā huuñ maiñ
koī dushman ko yuuñ na dekhegā
jaise qismat ko dekhtā huuñ maiñ
hashr meñ 'dāġh' koī dost nahīñ
saarī ḳhilqat ko dekhtā huuñ maiñ
Top Urdushayar.com